Wednesday, 3 October 2012

ye haseen wadiyan...!!!

Yeh haseen wadiyan
Yeh samaan

Dekh kar dil mera
Gungunane laga
Geet gane laga
Muskarane laga

Har taraf noor ki
Yun faza chayi hay
Jase janat zameen pe
Utar ayi hay

Dil ki dharkan main
Kaliyan chatakne lageen
Phool ban ban k
Khushiyan mahekne lageen

Le k aya kidar
Yeh suhana safar
Khud rahi na humain
Aaj apni khabar

Yeh haseen wadiyan
Yeh samaan

Sunday, 30 September 2012

HUSN...

Uske Husn Ki Tarif Mein Kya Kahiye
Koi Sehzadi Zamee Par Utar Aayi Hai
Ae Banane Wale Lagta Jaise
Koi Sangmarmar Ki Murat Tune Banayi Hai
Uske Zulafo Ki Tarif Mein Kya Kahiye
Jaise Din Dhalte Hi Chhayi Andhyari Hai
Ho Chali Hai Pawan Bhi Pagal
Uski Zulaf Lehar-2 Leharaayi Hai
Aankhein Uski Ya Mehkashi K Pyaale
Dekhkar Hi Hum Pe Khumari Si Chhayi Hai
Honth Kahu Ya Phoolo Ki Paankhein
Jiski Khushboo Ne Hamari Saaso Ko Mehkayi Hai
Tasleem Farooqui

Sunday, 23 September 2012

mitti ke khiloune

I 'm sharing here one of rhe most beautifull song of my father Mohammed Hussain Farooqui (hindi film singer)
Film....................................Mitti ke khiloune (1948)
Production..........................Ranjeet movietone, Bombay

Song....................................iss khak ke outle ko ai bhagwan banake...
Singer.................................Mohammed Hussain Farooqui
Lyrics.................................Pandit Butaram Sharma
Music.................................Bullo c. Rani and Hansraj Bahel

wwwhttp://www.youtube.com/watch?v=ZAnv8SWj-mM

Wednesday, 12 September 2012

Baarish....

Mausam Hai Barish Ka Aur Yaad Tumhari Aati Hai,
Barish Ke Har Qatre Se Awaz Tumhari Aati Hai.

Badal Jab Garajte Hain, Dil Ki Dharkan Badh Jati Hai,
Dil Ki Har Ek Dharkan Se Awaz Tumhari Aati Hai.


Jab Tez Hawayein Chalti Hai To Jaan Hamari Jati Hai,
Mausam Hai Barish Ka Aur Yaad Tumhari Aati Hai.

KHAT BE-SHUMAR LIKHUN...



                                
Koi khat nahi, koi khabar nahi,
Aapko shayad hamari kadr nahi,
Hum to aapko yaad karte hai har sans ke sath,
Shayad aapko hamari sanso ki fikar nahi

JHEEL SI GEHREE...


Monday, 10 September 2012

Har Tasweer Kuchh Kehti Hai....!!!





















Unki Ankhen...

                      Unki Jheeeeeeel Si Gehri Aankhen Dekh Lein,
                     To Unki Aankhon Se Pyaar Ho Jaaye…
                     Chale jo do kadam saath,
                     To unke saath se Pyaar Ho jaaye..
                    Thaame jo Pyaar se mera Haath,
                   To apne hi haath se Pyaar Ho jaaye..
                  Jis raat aaye khwaabon mein woh,
                 Us suhaani raat se Pyaar Ho jaaye..
                Jis baat mein aaye zikar unka,
             To ussi baat se Pyaar Ho jaaye..
          Jab pukaare Pyaar se mera naam lekar,
      Too Apne Hi naam se Pyaar Ho jaaye..
Hota hai agar itna khoobsurat yeh Pyaar agar,
To aye Khuda unhe bhi mere Pyaar se Pyaar Ho jaaye..

Sunday, 9 September 2012

Wo Bachpan ki Yaadein...



                                             Andekha Anjaana Bachpan
                                             Yaad Mujhey Jab Aata Hay
                                             Kuch Pal Mujhey Hansata Hay
                                             Per Har Pal Mujhey Rulata Hay
                                            Chhotee Chhotee Batein Kuch
                                            Dundhlee Dundhlee Yadein Kuch
                                            Rouna Dhona Rooth Bhi Jaana
                                            Masoumiyat Sey Sab Ko Mannana
                                           Ghar Ka Aangan Aur Chobbara
                                          Aksar Khwaboon Mein Mandhrata Hay
                                          Andekha Anjana Bachpan

                                          Yaad Mujhey Jab Aata hai....!!!!


Saturday, 8 September 2012

Aj ki shaam....

Aaj Ki Shaam Hum Phir Unka Intezar Karenge..
Wo Ayenge Is Umeed Par Aaitbar karenge..

Bichadi Thi Rahein Jahan Hum wahi Ruke Hain..
Ab Unki Rahon Main Hi Waqt Bekar Karenge..

Humare Haq Main Udaasi Bebasi Ayi To kya Hua..
Unki Khushi Ke Liye Hum Sajde Hazar Karenge..

Kon Kehta Hai Ke Mohobbat Khata Hote Hai..
Hum to Yeh Khata Phir Bhi Bar Bar Karenge..

Unki Mehfil Mein Rangeeniyon Ki Khatir Dost...
Apne Hi Ansuon Se Hum Aj Takarar Karenge..

Dosti ke Haath...




Yun Dosti K Naam Ko Rusvaa Na Kijiye
Tark-e-Ta?alluqaat Ka Charcha Na Kijiye


Jurm-O-Sitam Ka Paas Bhi Ulfat Mein Shart Hai
Palkon Ko Aansuon Se Bhigoya Na Kijiye

Aisaa Na Ho Ummeed Se Rishta Hi Toot Jaaye
Har Roz Mujhse Vaada-e-Fardaa Na Kijiye
Hamdard Jis Ko Apna Samajhte Rahe Hain Aap
Us Ka Hi Zindagi Mein Bharosa Na Kijiye


 

Wednesday, 5 September 2012

Zindagi ka safar...





                                              Kitna Ajeeb Apni Zindagi Ka Safar Nikla
                                       Saray Jahan Ka Dard Apna Muqaddar Nikla
                                       Jis Ke Naam Apni Zindagi Ka Har Lamha Kar Diya
                                      Afsos Wohi Humari Chahat Se Bekhabar Nikla...!!!


                                       Tasleem Farooqui (Dubai)

Intazaar unka...




              Phir Aaj Koi Gazal Tere Naam Na Ho Jaye !!
              Kahin Likhte Likhte Shaam Na Ho Jaye !!

              Kar Rahe Hain Intezaar Teri Mohabbat Ka !!
              Isi Intezaar Me Zindagi Tamam Na Ho Jaye !!

Tuesday, 4 September 2012

Saturday, 26 May 2012

mousam ki isharon se...

mausam ko ishaaro.n se bulaa kyuu.N nahii.n lete
ruuThaa hai agar vo to manaa kyuu.N nahii.n lete

diivaanaa tumhaaraa ko_ii Gair nahii.n hai
machalaa bhii to siine se lagaa kyuu.N nahii.n lete

Khat likh kar kabhii aur kabhii Khat ko jalaakar
tanhaa_ii ko rangiin banaa kyuu.N nahii.n lete

tum jaag rahe ho mujh ko achchhaa nahii.n lagataa
chupake se merii niind churaa kyuu.N nahii.n lete


Tasleem Farooqui

Wednesday, 23 May 2012

Paisa....





Main aur meri tanhai aksar batain karte hain,
Tum hoti to aisa hota tum hoti to waisa hota,
Laikin agar tum na hoti to to tumhari qasam,
Paisa he Paisa Hota