Wednesday 3 October 2012

ye haseen wadiyan...!!!

Yeh haseen wadiyan
Yeh samaan

Dekh kar dil mera
Gungunane laga
Geet gane laga
Muskarane laga

Har taraf noor ki
Yun faza chayi hay
Jase janat zameen pe
Utar ayi hay

Dil ki dharkan main
Kaliyan chatakne lageen
Phool ban ban k
Khushiyan mahekne lageen

Le k aya kidar
Yeh suhana safar
Khud rahi na humain
Aaj apni khabar

Yeh haseen wadiyan
Yeh samaan

Sunday 30 September 2012

HUSN...

Uske Husn Ki Tarif Mein Kya Kahiye
Koi Sehzadi Zamee Par Utar Aayi Hai
Ae Banane Wale Lagta Jaise
Koi Sangmarmar Ki Murat Tune Banayi Hai
Uske Zulafo Ki Tarif Mein Kya Kahiye
Jaise Din Dhalte Hi Chhayi Andhyari Hai
Ho Chali Hai Pawan Bhi Pagal
Uski Zulaf Lehar-2 Leharaayi Hai
Aankhein Uski Ya Mehkashi K Pyaale
Dekhkar Hi Hum Pe Khumari Si Chhayi Hai
Honth Kahu Ya Phoolo Ki Paankhein
Jiski Khushboo Ne Hamari Saaso Ko Mehkayi Hai
Tasleem Farooqui

Sunday 23 September 2012

mitti ke khiloune

I 'm sharing here one of rhe most beautifull song of my father Mohammed Hussain Farooqui (hindi film singer)
Film....................................Mitti ke khiloune (1948)
Production..........................Ranjeet movietone, Bombay

Song....................................iss khak ke outle ko ai bhagwan banake...
Singer.................................Mohammed Hussain Farooqui
Lyrics.................................Pandit Butaram Sharma
Music.................................Bullo c. Rani and Hansraj Bahel

wwwhttp://www.youtube.com/watch?v=ZAnv8SWj-mM

Wednesday 12 September 2012

Baarish....

Mausam Hai Barish Ka Aur Yaad Tumhari Aati Hai,
Barish Ke Har Qatre Se Awaz Tumhari Aati Hai.

Badal Jab Garajte Hain, Dil Ki Dharkan Badh Jati Hai,
Dil Ki Har Ek Dharkan Se Awaz Tumhari Aati Hai.


Jab Tez Hawayein Chalti Hai To Jaan Hamari Jati Hai,
Mausam Hai Barish Ka Aur Yaad Tumhari Aati Hai.

KHAT BE-SHUMAR LIKHUN...



                                
Koi khat nahi, koi khabar nahi,
Aapko shayad hamari kadr nahi,
Hum to aapko yaad karte hai har sans ke sath,
Shayad aapko hamari sanso ki fikar nahi

JHEEL SI GEHREE...