Saturday 26 May 2012

mousam ki isharon se...

mausam ko ishaaro.n se bulaa kyuu.N nahii.n lete
ruuThaa hai agar vo to manaa kyuu.N nahii.n lete

diivaanaa tumhaaraa ko_ii Gair nahii.n hai
machalaa bhii to siine se lagaa kyuu.N nahii.n lete

Khat likh kar kabhii aur kabhii Khat ko jalaakar
tanhaa_ii ko rangiin banaa kyuu.N nahii.n lete

tum jaag rahe ho mujh ko achchhaa nahii.n lagataa
chupake se merii niind churaa kyuu.N nahii.n lete


Tasleem Farooqui

Wednesday 23 May 2012

Paisa....





Main aur meri tanhai aksar batain karte hain,
Tum hoti to aisa hota tum hoti to waisa hota,
Laikin agar tum na hoti to to tumhari qasam,
Paisa he Paisa Hota

Saturday 12 May 2012

Dil......




    Agar Jo Dil Ki Sunoge To Haar Jaoge
    Hum Jesa Pyar Phir Kahan Paoge



    Jaan Dene Ki Baat To Har Koi Karta Hai
   Zindagi Banane Wala Kaha Se Laoge



   Jo Ek Nazar Dekhoge Tum Hame
   To Har Taraf Sirf Hum Hi Ko Paoge





  Tasleem Farooqui (Dubai)

Tuesday 8 May 2012

My Farooqui Aashiyana in Rajasthan

Unka ashiyana dil mein basa rakkha hai,
Unki yadon ko seene se laga rakkha hai,
Pata nahin yaad aate hain wohi kyun,
Waise dost to hamne auron ko bhi bana rakkha hai.

Tasleem Farooqui (Rajasthan)

Jeewan hai anmol ...

Hello Friends...I would like to share with you some of the sweet memories of my father Mohammed Hussain Farooqui (film singer of 1940's) -

http://www.youtube.com/watch?v=Pf1WAvPpcTA

wairing your  valuable comments and suggestions regarding my blog.

suraj ki tapish


Jab Bhi Suraj Ki Tapish Tujhe Satane Lage
Ban Ke Badal Mein Tujh Pay Barasne Lagoon

Jab Bi Bijli Ki Karak Tujhe Darane Lage
Ban Ke Hawa Tujjh Mein Samane Lagoon

Jab Bhi Tu Andhere Se Ghabrane Lage
Banke Jugnoo Tere Gird Mandlane Lagoon

Jab Bhi Tujhe Meri Yaad Sataye
Ban Ke Moti Teri Aankhon Se Tapkoon


Tasleem Farooqui

aik ladki...

Pagal Si Ek Ladki Hai
Har Pal Woh Mujhko Takti Hai

Aankh Main Uski Masti Hai
Woh Baat Baat Pe Hansti Hai

Har Roz Woh Roop Badalti Hai
Har Roop Main Achi Lagti Hai

Is Dil Main Aag Badhakti Hai
Jab Meri Taraf woh Barti Hai

Deedar Ko Deed Tarasti Hai
Fursat Main Aankh Barasti Hai

Woh Jab Bhi Mujhse Milti Hai
Yeh Zalim Dunya Jalti Hai

Pyar Woh Mujse Karti Hai
Izhaar Se Lekin Darti Hai

Tasleem Farooqui (Jaipur)

Raat Akeli...

ho raat akaili aur pichla pehar
aur chand aangan mai aa jaey
tum chand ki manind tanha hoo
ye baat tumhy tadpa jaey
kuch khwab saja kr palkoon pe
tum chand se baatain kr lena
hum yaad tumhy tu krty hain
tum yaad hamy bhi kr lena
kuch baat na ho jab aise hi
num ankh tumhari ho jaey
tum baat kahin par krty hoo
dil aur kahin par khoo jaey
jazbaat k aise aalam mai
muskan laboon par bhar lena
hum yaad tumhy tu krty hain
tum yaad hamay kr lena

Tasleem Farooqui

meri ghazal

Naraaz


Saara Jahan Chup-Chaap Hai, Aahatein Naasaaz Hain
Kyun Hawa Thehri Hui Hai, Aap Kya Naaraaz Hai ???

Pheenke Lagte Hain Mausam Aap Jab Hanste Naheen
Din Guzar Jaata Hai Lekin Lamhe Kuchh Katte Naheen
Kuchh To Kahiye Din Mein Shaam Ke Andaaz Hai

Boliye Kuchh Boliye Na Kamoshi Ke Lab Khulen
Dosti Ke Aese Mausam Phir Na Jaane Kab Khulen
Rooth Jaana Dosti Mein Dost Ke Andaaz Hain
Tasleem Farooqui

Monday 7 May 2012

BIOGRAPHY OF SINGER/ACTOR MOHAMMED FAROOQUI
Sangeet ka ek tanha safar...



Mohammed Farooqui was born on 17th August,1915 in the Jhunjhunu city of rajasthan. in a religious family of mohalla peerzadgan. He got his basic education in the city under the guidence of his father Haji Muniruddin. During his childhood farooqui displayd talent in singing...
In his youth days farooqui sb. actively participated the music.....he had been always attracted to the world of music.During education Farooqui sb performed as singer in various stage programmes in Rajasthan, but his religious father was against with his activities.
When Mohammed Farooqui completed education, his father had a visions of  his son becoming a teacher, but his destination was a film studio.....
At last in 1945 farooqui sb came to Bombay to try his luck in hindi film industries as a singer.., with a reference letter for music director khemchand prakash.
The only person who knew Farooqui in Bombay was Azad Farooqui, with whom Farooqui sb. stayed for some time in old khar. Khemchand prakash belongs to Rajasthan (Sujan garh) After one year struggle khem chand prakash called to Farooqui sb at his own residence. when Farooqui sb gone to there,  K L Sehgal sb also sitting there. khemchand prakash introduced him with K L sehgal sb.sahgal sb asked Farooqui to sing any song. Then Farooqui sung the song...soja raj kumari soja......after hearing his own song K L Sehgal sb became impressed and said ..''there  is something new in his voice.'' It was enough for Farooqui to get a contract with Ranjeet Movietone on salary basis. After some time he got his first film as a co-singer, but Farooqui sb tested success in 1947. It was a golden year for his music career. In this year his films chheen le azadi, duniyan ek sarai, lakhon mein ek, and pehli pehchan were released successfully.The song kamzoron ki naheen hai duniyan...from the film chheen le azadi was promoted the freedom fighters to acheive the goal - an independent nation..
The another song which was placed Farooqui among intellectual and poor both categories of people, was---ek musafir aye baba ek musafir jaye...from the film duniyan ek sarai.In 1948 bhajans of the film Jai Hanuman and iss khak ke putle ko from the film mitti ke khilone, were also appreciated by the public.In1949 his films bhool bhul aiyan and alakhniranjan were also became populer.Mohameed Farooqui was among one of the singer who became successfull without any music guru.
It was the end of the 1950. Farooqui's father became seriously ill and sent a message to come Rajasthan immediately. After all his successful films Farooqui sb. desided to left the Bombay and thereafter no look back.
The rest of his life was a mission for the poor category of society.. and he enlighten the light of education.
on 8th February,1990 Mohammed farooqui left for heavenly abode at the age of 75 years, leaving the family and friends to grieve for the loss of  a talented personalty.
Just after the death of mohammed farooqui , one of his friend paid tributes like this...
Khabar kya thee mohammed aap hamein tanha chhorh jayenge
Dil-e ''Rahber'' ko gamgeen aur purnam banayenge...
Ab na subha ayegee iss shaam ke baad...
Bas hum to sirf aapke geet gungunayenge
The name of mohammed farooqui will figure on the list of the men for contribution of indian cinema.
FILMOGRAPHY--

 * Chheen le azadi  (1947)
*  Duniyan ek sarai (1947)
* Lakhon mein ek (1947)
* Pehli pehchan (1947
* Piya ghar aja (1947)
* Neel kamal (1947)
*Bichhde balam (1948)
* Jai hanuman (1948)
* Mitti ke khilone(1948)
* Pardesi mehman(1948)
* Bhool bhulaiyan (1949)
* Alakh niranjan (1949)



---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------






FAROOQUI AASHIYANA                                                                     if someone have more
      the residence of mohammed farooqui                                            information about farooqui's                                                                                                         filmography, will
               in rajasthan                                                                          kindly be appreceated
                                                                                                          
Tasleem
Hi Friends...My father Mohammed Hussain Farooqui was a playback singer and actor in hindi cinema in 1940's....my blog is dedicated to my father...to read biography and philmography of my father please visit my youtube channel


http://www.youtube.com/watch?v=TVT847yuIFU